Meri Maut Ke Masiha!
meri maut ke masiha!
tin barr-e-azmon pe tum ne mera pichha kiya hai
mausam badalte rahe taqdir ki tarah
main shahr shahr phira dhup ki tarah
main ne KHamoshiyan lafzon ke supurd kin
zaban ke lafz badle
magar tum ek tarik surang ki tarah saya saya
mere shuur mein utarte chale gae ho
mere zehn mere jism mere qalb ke makus ruKH!
meri tahriron ke aaseb!
tum meri tanhai ho mere wajud ki intiha aur shikast
chahe hue badan tumhaari aaghosh mein rakh ho gae hain
abadi KHamosh harif!
tum kaenat ke tamam nur ke sath shatranj khelte rahe ho
main nai tumhaari quwwaton ki hama-gir gunjalak bisat pe
KHana-ba-KHana
ishq aur lafzon ki saliben bichhain:
tum hawaon ki misal mere aas-pas baraste rahe
tum har sham phulon pe yalghaar karte paniyon pe chalte rahe ho
ye jaante hue bhi ki mere lafz
ret ke chehre pe khinche hue be-sabaat naqsh hain
main ne har ibtida har intiha ka isbaat kiya hai
faslon ki tarah tum sab kuchh nikalte chale gae ho
hamara jhagDa ta-umr jari rahega
mere sanson ke sathi aur dushman:
mere ham-shakl:
muqaddar ki band kitab:
main ne tumhaare raaz jaanne chahe
calendar ki tariKHon mein tumhein paDhna chaha
palkon ke darmiyan tumhaare libas ke na-malum tar bichhae
yaad rakho!
har raushni ne tumhein apne fani shoalon mein lapeTna chaha
magar waqt ki kalid!
tum ne kunjiyon ka guchcha na jaane kis miTTi mein dafn kar diya hai
tum jhuTe lafzon ki tarah
meri ungliyon mein se phisalte chale gae ho
(1036) Peoples Rate This