Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fda6575436e02dcd884219344028ea73, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tere Badan Ki Nazakaton Ka Hua Hai Jab Ham-rikab Mausam - Ehtisham Ul Haq Siddiqui Poetry In English - Darsaal

Tere Badan Ki Nazakaton Ka Hua Hai Jab Ham-rikab Mausam

tere badan ki nazakaton ka hua hai jab ham-rikab mausam

nazar nazar mein khila gaya hai shararaton ke gulab mausam

hum apne gum-gashta walwalon par KHunuk hawaon ke qahqahon ka

jawab dete jo sath lata hamara ahd-e-shabab mausam

wo ek banjar zamin ghar ki jo sun rahi thi sabhi ke tane

KHusha ki is bar is zamin ko bhi de gaya ek gulab mausam

amir logon ki koThiyon tak tere ghazab ki pahunch kahan hai

faqat gharibon ke jhonpaDon tak hai tera dast-itab mausam

ye barf pighlegi choTiyon se paron mein aaegi phir hararat

bharenge unchi uDan phir hum rahega kab tak KHarab mausam

(729) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tere Badan Ki Nazakaton Ka Hua Hai Jab Ham-rikab Mausam In English By Famous Poet Ehtisham Ul Haq Siddiqui. Tere Badan Ki Nazakaton Ka Hua Hai Jab Ham-rikab Mausam is written by Ehtisham Ul Haq Siddiqui. Read famous Poem Tere Badan Ki Nazakaton Ka Hua Hai Jab Ham-rikab Mausam for youth and Student by Ehtisham Ul Haq Siddiqui. Free Download Tere Badan Ki Nazakaton Ka Hua Hai Jab Ham-rikab Mausam in PDF.