Husul-e-maqsad Mein AaKHirash Yun Rahegi Qismat DaKHil Kab Tak
husul-e-maqsad mein aaKHirash yun rahegi qismat daKHil kab tak
tum apni nakaamiyon pe doge muqaddaron ki dalil kab tak
samundaron ki riyasaton ko luTa ke aawara phirne walo
ab ek qatre ki minnaton se karoge KHud ko zalil kab tak
tu mard-e-momin hai apni manzil ko aasmanon pe dekh nadan
ki rah-e-zulmat mein sath dega koi charagh-e-alil kab tak
jalal-e-rafta ko bhul bhi ja zarurat-e-haal par nazar kar
rakhe ga chulhe ki aag ThanDi pae-waqar-e-qabil kab tak
daraazi-e-qad se aadmi ko nasib hoti nahin bulandi
tujhe fareb-e-faraaz degi ye kajkulah-e-tawil kab tak
(700) Peoples Rate This