Kyun Yurish-e-tarab Mein Bhi Gham Yaad Aa Gae
kyun yurish-e-tarab mein bhi gham yaad aa gae
socha tere karam ko sitam yaad aa gae
ai dost mai-kade mein ye kaisi hawa chali
sab fitna-ha-e-dair-o-haram yaad aa gae
raushan abhi hua tha sar-e-jada-hayat
ek kakul-e-siyah ke KHam yaad aa gae
ab kya dikha raha hai rah-e-mah-o-kahkashan
naseh kisi ke naqsh-e-qadam yaad aa gae
ek ek kar ke TuT chuke hain KHirad ke but
but-KHana-e-junun ke sanam yaad aa gae
(3234) Peoples Rate This