Bimari Ki KHabar
jab KHat mein tum likh deti ho kuchh haal apni bimari ka
main baiTh ke tanhai mein jaane kya kya socha karta hun
kuchh andhe koDhi diwane aankhon mein samane lagte hain
kuchh qaht-zada bhuke pyase jaan KHamoshi se de de kar
duniya mein muflis rahne ki taziren pane lagte hain
kaTte hain jin ke sham-o-sahar ek qabil-e-nafrat KHwari se
jo marte hain aasani se aur jite hain dushwari se
KHun chus liya hai ghairon ne bimar bhi hain nadan bhi hain
jine ki tamanna dil mein hai aur jine se bezar bhi hain
is dard ki mari duniya mein aise insan kyun baste hain
jo sari umar zarurat ki chizon ke liye bhi taraste hain
go aise log bhi hain jin ko aasaish hi aasaish hai
wo sab hai muhayya un ke liye jis chiz ki un ko KHwahish hai
jin ke liye sona miTTi hai jin ke liye moti saste hain
lekin majbur insanon ko kyun haq nahin hasil jine ka
tufan hi ke qabze mein kyun patwar hai un ke safine ka
kab tak be-bas insan yunhi taqdir ka rona roega
kab tak be kuchh pae hue apna hi sab kuchh khoega
kab tak andhi bheDon ki tarah ye apni rah na paega
kab tak maut ke aage se pichhe hi haTta jaega
phir KHud hi dil bol uThta hai ab waqt badalne wala hai
zarre suraj ban jaenge wo daur bhi aane wala hai
ummid ki ek nannhi si kiran mayusi par chha jati hai
aur us ki zau mein ek nai duniya bazu phailati hai
sui si ragon mein chubhti hai aankhon mein aansu aate hain
dil be-qabu ho jata hai jine ki hawas baDh jati hai
jaan waqf-e-tapish ho jati hai aur azm-e-baghawat karti hai
us waqt ek sail iradon ki sinon se ho ke guzarti hai
duniya ko KHuld banane ka jo dhyan sa dil mein aata hai
aisi KHabron ke sunne se wo aur qawi ho jata hai
jab KHat mein tum likh deti ho kuchh haal apni bimari ka
main baiTh ke tanhai mein jaane kya kya socha karta hun
hum jang karenge fitrat se fitrat par qabu paenge
aur fitrat par qabu pa kar ek rose amar ban jaenge
(1793) Peoples Rate This