Tujhe Pasand Jo Dil Ki Lagan Nahin Aai
tujhe pasand jo dil ki lagan nahin aai
mujhe bhi ras teri anjuman nahin aai
uDa sa rang hai kyun waqt ke mashihao
abhi to manzil-e-dar-o-rasan nahin aai
taDapta hi raha yaqub dar-e-ahd-e-kuhan
hawa-e-yusuf-e-gul-pairahan nahin aai
sitam-shiar to tha ghair bhi magar us ko
jafa-taraazi-e-ahl-e-watan nahin aai
jo dhup ban ke chamak jati dil ke aangan mein
teri nazar ki wo rangin kiran nahin aai
jo pesh-KHema bane inqalab ka ab tak
jabin-e-waqt pe aisi shikan nahin aai
(1430) Peoples Rate This