Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_545bfca7db7506f52615f3684ddb33b7, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kuchh Mere Shauq Ne Dar-parda Kaha Ho Jaise - Ehtisham Husain Poetry In English - Darsaal

Kuchh Mere Shauq Ne Dar-parda Kaha Ho Jaise

kuchh mere shauq ne dar-parda kaha ho jaise

aaj tum aur hi taswir-e-haya ho jaise

yun guzarta hai teri yaad ki wadi mein KHayal

KHarzaron mein koi barhana-pa ho jaise

saz nafrat ke taranon se bahalte nahin kyun

ye bhi kuchh ahl-e-mohabbat ki KHata ho jaise

waqt ke shor mein yun chiKH rahe hain lamhe

bahte pani mein koi Dub raha ho jaise

kaisi gul-rang hai mashriq ka ufuq dekh nadim

nadi ka KHun raat ki chaukhaT pe baha ho jaise

ya mujhe wahm hai sunta nahin koi meri

ya ye duniya hi koi koh-e-nida ho jaise

bahr-e-zulmat-e-junun mein bhi nikal aai hai rah

ishq ke hath mein musa ka asa ho jaise

dil ne chupke se kaha koshish-e-nakaam ke baad

zahr hi dard-e-mohabbat ki dawa ho jaise

dekhen bach jati hai ya Dubti hai kashti-e-shauq

sahil-e-fikr pe ek hashr bapa ho jaise

(1057) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kuchh Mere Shauq Ne Dar-parda Kaha Ho Jaise In English By Famous Poet Ehtisham Husain. Kuchh Mere Shauq Ne Dar-parda Kaha Ho Jaise is written by Ehtisham Husain. Read famous Poem Kuchh Mere Shauq Ne Dar-parda Kaha Ho Jaise for youth and Student by Ehtisham Husain. Free Download Kuchh Mere Shauq Ne Dar-parda Kaha Ho Jaise in PDF.