Gulshan-e-dil Mein Mile Aql Ke Sahra Mein Mile
gulshan-e-dil mein mile aql ke sahra mein mile
jo bhi milna hai mile aur isi duniya mein mile
barhami anjuman-e-shauq ki kya puchhte ho
dost bichhDe hue akasr saf-e-ada mein mile
aane walon ne mere baad gawahi di hai
kai gulzar mere naqsh-e-kaf-e-pa mein mile
yun bhi guzri hai ki chhae rahe bedari par
nind aai to wo gham KHwab ki duniya mein mile
nahin malum ki kya dekhne aae the udhar
be-ajar log bahut shahr-e-tamasha mein mile
phir umidon ne yahin gaD diye hain KHeme
rang kuchh uDte hue daman-e-sahra mein mile
faslon se na mere shauq ki manzil napo
shash-jihat said mere dam-e-tamanna mein mile
(1053) Peoples Rate This