Gham Mein Ek Mauj SarKHushi Ki Hai
gham mein ek mauj sarKHushi ki hai
ibtida si KHud aagahi ki hai
kise samjhaen kaun manega
jaise mar mar ke zindagi ki hai
bujhin shamen to dil jalae hain
yun andheron mein raushni ki hai
phir jo hun us ke dar pe nasiya sa
main ne ai dil teri KHushi ki hai
main kahan aur dayar-e-ishq kahan
gham-e-dauran ne rahbari ki hai
aur umDe hain aankh mein aansu
jab kabhi us ne dil-dahi ki hai
qaid hai aur qaid-e-be-zanjir
zulf ne kya fusun-gari ki hai
main shikar-e-itab hi to nahin
mehrban ho ke baat bhi ki hai
bazm mein us ki bar pane ko
dushmanon se bhi dosti ki hai
un ko nazren bacha ke dekha hai
KHub chhup chhup ke mai-kashi ki hai
har taqaza-e-lutf par us ne
taza rasm-e-sitamgari ki hai
(1282) Peoples Rate This