Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_dae4c61b97a3838ede6340b6b16dae33, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gaya Tha Bazm-e-mohabbat Mein Khaali Jam Liye - Ehtisham Husain Poetry In English - Darsaal

Gaya Tha Bazm-e-mohabbat Mein Khaali Jam Liye

gaya tha bazm-e-mohabbat mein KHali jam liye

kaTi hai umr gadai ka ittiham liye

kahin hue bhi jo raushan mohabbaton ke charagh

hawaen dauD paDin wahshaton ke dam liye

tilism-e-raaz na khul jae tang-binon par

tumhaare nam se pahle hazar nam liye

bhaTak raha hun main tanhaiyon ke jangal mein

hayat raqs mein hai husn-e-subh-o-sham liye

kabhi mili thi jo ek dard-e-na-rasa ki KHalish

main ji raha hun wahi zaKHm-e-na-tamam liye

kisi ki yaad mein akasr yahi hua mahsus

falak zamin pe utra mah-e-tamam liye

mili hai gardish-e-ayyam har zamane mein

sahar umid ki aur jaan-kani ki sham liye

(1107) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gaya Tha Bazm-e-mohabbat Mein Khaali Jam Liye In English By Famous Poet Ehtisham Husain. Gaya Tha Bazm-e-mohabbat Mein Khaali Jam Liye is written by Ehtisham Husain. Read famous Poem Gaya Tha Bazm-e-mohabbat Mein Khaali Jam Liye for youth and Student by Ehtisham Husain. Free Download Gaya Tha Bazm-e-mohabbat Mein Khaali Jam Liye in PDF.