Dekh Kar Jada-e-hasti Pe Subuk-gam Mujhe
dekh kar jada-e-hasti pe subuk-gam mujhe
dur se takti rahi gardish-e-ayyam mujhe
Dal kar ek nazar pyar ki meri jaanib
dost ne kar hi liya banda-e-be-dam mujhe
kal sunenge wahi muzhda meri aazadi ka
aaj jo dekh ke hanste hain tah-e-dam mujhe
dekh leta hun andhere mein ujale ki kiran
zulmat-e-shab ne diya subh ka paigham mujhe
na to jine hi mein lazzat hai na marne ki umang
un nigahon ne diya kaun sa paigham mujhe
main samajhta hun mujhe daulat-e-kaunain mili
kaun kahta hai ki wo kar gae badnam mujhe
garche aaghaz-e-mohabbat ne diye hain dhoke
liye jati hai kahin kawish-e-anjam mujhe
tera hi ho ke jo rah jaun to phir kya hoga
ai junun aur hain duniya mein bahut kaam mujhe
(1092) Peoples Rate This