Dar Dar Ke Jise Main Sun Raha Hun
Dar Dar ke jise main sun raha hun
khoi hui apni hi sada hun
har lamha-e-hijr ek sadi tha
puchho na ki kab se ji raha hun
jab aankh mein aa gae hain aansu
KHud bazm-e-tarab se uTh gaya hun
chhaTti nahin KHu-e-haq-shanasi
suqraat hun zahr pi raha hun
rahbar ki nahin mujhe zarurat
har rah ka moD jaanta hun
manzil na mili to gham nahin hai
apne ko to kho ke pa gaya hun
apni hi hawas thi sar-kashida
daman se ulajh ke gir paDa hun
uryani-e-fikr khul na jae
KHwabon ke libas si raha hun
har manzil-e-marg-afrin mein
sar-gashta-e-zindagi raha hun
dhabbe hain bahut se tirgi ke
kin raushniyon mein ghir gaya hun
(1115) Peoples Rate This