Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_kp62cs65mi42iv32kd557nq0n0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Meri Hayat Ko Be-rabt Bab Rahne De - Ehtisham Akhtar Poetry In English - Darsaal

Meri Hayat Ko Be-rabt Bab Rahne De

meri hayat ko be-rabt bab rahne de

waraq waraq yun hi gham ki kitab rahne de

main rahgiron ki himmat bandhane wala hun

mere wajud mein shamil sharab rahne de

tabah KHud ko main kar lun badan ko chhu ke tere

tu apne lams ka mujh par azab rahne de

zara Thahar ki abhi KHun mein samai nahin

mere qarib badan ki sharab rahne de

bhula chuka hun main sab kuchh dila na yaad mujhe

jo kho chuka hun ab us ka hisab rahne de

jala liya hai badan apni aag mein main ne

bujha na is ko abhi ye azab rahne de

(1159) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Meri Hayat Ko Be-rabt Bab Rahne De In English By Famous Poet Ehtisham Akhtar. Meri Hayat Ko Be-rabt Bab Rahne De is written by Ehtisham Akhtar. Read famous Poem Meri Hayat Ko Be-rabt Bab Rahne De for youth and Student by Ehtisham Akhtar. Free Download Meri Hayat Ko Be-rabt Bab Rahne De in PDF.