Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c994029b449594be12b74f69b760fce1, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHwab Aankhon Mein Nihan Hai Ab Bhi - Ehtisham Akhtar Poetry In English - Darsaal

KHwab Aankhon Mein Nihan Hai Ab Bhi

KHwab aankhon mein nihan hai ab bhi

bujh gai aag dhuan hai ab bhi

wo mere pas nahin hai lekin

us ke hone ka guman hai ab bhi

kya bahadur koi aaya hi nahin

rah mein sang-e-giran hai ab bhi

koi pyasa hi nahin hai warna

chashma-e-shauq rawan hai ab bhi

ghar ko kandhe pe liye phirta hun

mujh mein ye tab-o-tawan hai ab bhi

main talluq se pare hun lekin

mujh se wabasta jahan hai ab bhi

(1063) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHwab Aankhon Mein Nihan Hai Ab Bhi In English By Famous Poet Ehtisham Akhtar. KHwab Aankhon Mein Nihan Hai Ab Bhi is written by Ehtisham Akhtar. Read famous Poem KHwab Aankhon Mein Nihan Hai Ab Bhi for youth and Student by Ehtisham Akhtar. Free Download KHwab Aankhon Mein Nihan Hai Ab Bhi in PDF.