Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6d64012d1a3565696579ea7bb95dcc2b, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil-e-barbaad Ko ChhoTa Sa Makan Bhi Dega - Ehtisham Akhtar Poetry In English - Darsaal

Dil-e-barbaad Ko ChhoTa Sa Makan Bhi Dega

dil-e-barbaad ko chhoTa sa makan bhi dega

jab naya zaKHm bharega to nishan bhi dega

pahle guzrunga main ummid o yaqin ki rah se

phir tera pyar mujhe wahm-o-guman bhi dega

paikar-e-rang jo pal bhar mein bikhar jaega

jagti aankhon ko KHwabon ka jahan bhi dega

tum jalana mujhe chaho to jala do lekin

naKHl-e-taza jo jalega to dhuan bhi dega

waqt deta hai jinhen aaj khilaune 'aKHtar'

unhin atfal ko kal tir-o-sinan bhi dega

(1180) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-e-barbaad Ko ChhoTa Sa Makan Bhi Dega In English By Famous Poet Ehtisham Akhtar. Dil-e-barbaad Ko ChhoTa Sa Makan Bhi Dega is written by Ehtisham Akhtar. Read famous Poem Dil-e-barbaad Ko ChhoTa Sa Makan Bhi Dega for youth and Student by Ehtisham Akhtar. Free Download Dil-e-barbaad Ko ChhoTa Sa Makan Bhi Dega in PDF.