Charagh Dil Ka Tha Raushan Bujha Gaya Pani
charagh dil ka tha raushan bujha gaya pani
ki ban ke sail-e-bala ghar mein aa gaya pani
KHulus pyar wafa sab usi ke sath gae
mohabbaton ke nishan sab miTa gaya pani
chaDha hua tha jo dariya utar gaya lekin
hamari unchi imarat Dhaha gaya pani
bujhegi pyas bhala kya zamin ki ashkon se
hamari aankh mein kyun aaj aa gaya pani
hui jo barish-e-gham to badal gae manzar
zara si der mein kya kya dikha gaya pani
Dubo hi dega tumhein ab nadi ka ye sailab
kahan bachoge ki ab ghar mein aa gaya pani
main ab ye shahr-e-hawas chhoD kar kahan jaun
mujhe to ras yahan ka ab aa gaya pani
(1128) Peoples Rate This