Ye Hasraten Bhi Meri Saiyan Nikali Jaen
ye hasraten bhi meri saiyan nikali jaen
ki dasht hi ki taraf khiDkiyan nikali jaen
bahaar guzri qafas hi mein haw-hu karte
KHizaon mein to meri beDiyan nikali jaen
ye sham kafi nahin hai siyah-libasi ko
shafaq se aur zara surKHiyan nikali jaen
to bach rahengi barahna badan ki saughaten
mohabbaton se agar duriyan nikali jaen
mere jalae diyon ka bhi kuchh KHayal rahe
jo is makan se kabhi khiDkiyan nikali jaen
ye kaisi zid hai ki pahle badan se jaan nikle
phir us ke baad sabhi siskiyan nikali jaen
to tum bhi meri tarah laDkhaDane lag jao
agar tumhaari bhi baisakhiyan nikali jaen
ye KHun-baha bhi ada kar chuki hai KHwabon ka
to meri aankh se ab kirchiyan nikali jaen
nikal paDega mera sar bhi sath hi 'sadiq'
jo mere sar se kabhi pagDiyan nikali jaen
(4310) Peoples Rate This