Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4a4192cbb044c4804fa56145b5be60d8, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Teri Shabih Ko Likkha Hai Rang-o-bu Maine - Ehtimam Sadiq Poetry In English - Darsaal

Teri Shabih Ko Likkha Hai Rang-o-bu Maine

teri shabih ko likkha hai rang-o-bu main ne

gulon ki aise bacha li hai aabru main ne

kitab-e-zist pe hai lafz-e-na-shanasai

magar ye kya ki likha tum ko aaj tu main ne

mujhi mein rah ke wo ab tak nahin mila mujh ko

ki ek umr se ki jis ki justuju main ne

rahenge chain se ab dard main mohabbat gham

tumhaari dil se miTa di hai aarzu main ne

jo mere lahje mein ab bhi KHumar hai 'sadiq'

kisi se KHwab mein kar li thi guftugu main ne

(3359) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Shabih Ko Likkha Hai Rang-o-bu Maine In English By Famous Poet Ehtimam Sadiq. Teri Shabih Ko Likkha Hai Rang-o-bu Maine is written by Ehtimam Sadiq. Read famous Poem Teri Shabih Ko Likkha Hai Rang-o-bu Maine for youth and Student by Ehtimam Sadiq. Free Download Teri Shabih Ko Likkha Hai Rang-o-bu Maine in PDF.