Ghaiz Ka Suraj Tha Sar Par Sach Ko Sach Kahta To Kaun
ghaiz ka suraj tha sar par sach ko sach kahta to kaun
ras aata kis ko mahshar sach ko sach kahta to kaun
sab ne paDh rakkha tha sach ki jit hoti hai magar
tha bharosa kis ko sach par sach ko sach kahta to kaun
man rakhta kaun wish ka kaun apnata salib
koi aisa tha na shankar sach ko sach kahta to kaun
tha kisi ka bhi na maqsad sach ko jhuTlana magar
munh mein rakh kar luqma-e-tar sach ko sach kahta to kaun
aadmi to KHair se basti mein milte hi na the
dewta the so the patthar sach ko sach kahta to kaun
jab haqiqat mein ubharta sach bhi sach lagta na tha
KHwab mein hote ujagar sach ko sach kahta to kaun
yaad tha suqraat ka qissa sabhi ko ehtiram
sochiye aise mein baDh kar sach ko sach kahta to kaun
(1061) Peoples Rate This