Rishte Ki Sachchai

hum jaante hain

ye duniya hamein jine nahin degi

fasle ki diwaren

hum donon ke darmiyan

baDhti rahengi

ye kaisa rishta hai

hum donon apne apne ehsasat se waqif hain

magar ye rasm-o-riwaj

aadmi se aadmi ki tafriq ke

hum donon mahz apni aankhon ke alawa

ek dusre ko chhu nahin sakte

aab-e-zam-zam ya ganga-jal

ek rang, ek KHumar aur ek ehsas

kyun na hum donon

ek aafaqi rishte se

munsalik ho jaen

aise rishte se

ki jahan talwaren jhuk jati hain

aur angare ban jate hain phul

aur nila aasman muskura uThta hai

aao aaj

tum meri kalai mein ye rakhi bandh do

hum donon apni apni

anokhi chahat ke hawale se

ban jaen janm janm ke sathi

aTuT ho jaenge jab

phir shayad zamana ungli nahin uTha sakega!!

(1021) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Rishte Ki Sachchai In English By Famous Poet Ehsan Saqib. Rishte Ki Sachchai is written by Ehsan Saqib. Read famous Poem Rishte Ki Sachchai for youth and Student by Ehsan Saqib. Free Download Rishte Ki Sachchai in PDF.