Tum Achchhe Masiha Ho Dawa Kyun Nahin Dete
tum achchhe masiha ho dawa kyun nahin dete
be-nur jo hai shama bujha kyun nahin dete
be-nam hun be-nang hun zahir to hai tum par
gar rabt nahin dil se bhula kyun nahin dete
KHushbu ki tarah phul ki uTThunga chaman se
to phul ko zulfon se gira kyun nahin dete
pahunchunga kashakash mein jahan tum ne bulaya
tum hashr ke maidan se sada kyun nahin dete
mahfil mein agar raunaq-e-mahfil hai koi aur
ye baat bhi mahfil ko bata kyun nahin dete
ek bund si larzan hai sar-e-chashm-e-tamanna
nayab nahin aab gira kyun nahin dete
na-karda gunahon ki saza maut mili hai
phir karda-gunahon ki saza kyun nahin dete
zaKHmon ko mere dil pe agar dekh liya hai
daman se wafaon ki hawa kyun nahin dete
dekha tha kabhi hum ne mohabbat ka janaza
baqi hai agar kuchh to dikha kyun nahin dete
har lamha hamara hi fasana hai zaban par
hum kuchh bhi nahin hain to bhala kyun nahin dete
kar lenge har ek manzil-e-dushwar ko sar hum
ek jam mohabbat ka pila kyun nahin dete
(956) Peoples Rate This