Baat Ab Aai Samajh Mein Ki Haqiqat Kya Thi

baat ab aai samajh mein ki haqiqat kya thi

ek jazbaat ki shiddat thi mohabbat kya thi

ab ye jaana ki wo din-raat ke shikwe kya the

ab ye malum hua wajh-e-shikayat kya thi

koi ek shoKH ishaara hi bahut tha ai dost

itne sanjida tabassum ki zarurat kya thi

mazarat thi wo faqat apni ghalat-bini ki

jis pe nazan the bahut hum wo basirat kya thi

halqa-e-zulf-e-rasa us ke liye kafi tha

tere diwane ko zanjir ki hajat kya thi

ye usi ka hai natija ki tahi-dast rahe

har khilaune pe lapakne ki zarurat kya thi

faras-e-umr hi apna hai bahut sust qadam

warna 'ehsan' pe thoDi si masafat kya thi

(958) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Ab Aai Samajh Mein Ki Haqiqat Kya Thi In English By Famous Poet Ehsan Darbhangavi. Baat Ab Aai Samajh Mein Ki Haqiqat Kya Thi is written by Ehsan Darbhangavi. Read famous Poem Baat Ab Aai Samajh Mein Ki Haqiqat Kya Thi for youth and Student by Ehsan Darbhangavi. Free Download Baat Ab Aai Samajh Mein Ki Haqiqat Kya Thi in PDF.