Wafaen Kar Ke Jafaon Ka Gham UThae Ja
wafaen kar ke jafaon ka gham uThae ja
isi tarah se zamane ko aazmae ja
kisi mein apni sifat ke siwa kamal nahin
jidhar ishaara-e-fitrat ho sar jhukae ja
wo lau rabab se nikli dhuan uTha dil se
wafa ka rag isi dhun mein gungunae ja
nazar ke sath mohabbat badal nahin sakti
nazar badal ke mohabbat ko aazmae ja
KHudi-e-ishq ne jis din se khol din aankhen
hai aansuon ka taqaza ki muskurae ja
nahin hai gham to mohabbat ki tarbiyat naqis
hawadis aaen to narmi se pesh aae ja
thi ibtida mein ye tadib-e-muflisi mujh ko
ghulam rah ke ghulami pe muskurae ja
badal na rah KHirad ke fareb mein aa kar
junun ke naqsh-e-qadam par qadam baDhae ja
ummid o yas mein jina hai ishq ka maqsud
isi maqam-e-muqaddas pe tilmilae ja
chaman mein fursat o taskin hai maut ka paigham
sukun pasand na kar aashiyan banae ja
yahi hai lutf-e-mohabbat yahi hai kaif-e-hayat
haqiqaton ki bina par fareb khae ja
wafa ka KHwab hai 'ehsan' KHwab-e-be-tabir
wafaen kar ke muqaddar ko aazmae ja
(1172) Peoples Rate This