Soz-e-junun Ko Dil Ki Ghiza Kar Diya Gaya

soz-e-junun ko dil ki ghiza kar diya gaya

ek zahr-e-jaan-talab ko dawa kar diya gaya

nasur bhar sake na fughan zabt ho saki

jab nai ko nistan se juda kar diya gaya

ahl-e-wafa mein maut ki talKHi ko sar-ba-sar

qandab-e-zindagi se siwa kar diya gaya

azbar kara diya hai KHizan ko nisab-e-gul

sarsar ko dars de ke saba kar diya gaya

suraj se rang rang ki kirnen bikher kar

miTTi ka zard khet hara kar diya gaya

lahki azan bajne lage raston ke farsh

kirnon ko qaid-e-shab se riha kar diya gaya

ruh-e-bahaar KHun-e-shahidan ka rang dekh

KHak-e-chaman ko lala-qaba kar diya gaya

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Soz-e-junun Ko Dil Ki Ghiza Kar Diya Gaya In English By Famous Poet Ehsan Danish. Soz-e-junun Ko Dil Ki Ghiza Kar Diya Gaya is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Soz-e-junun Ko Dil Ki Ghiza Kar Diya Gaya for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Soz-e-junun Ko Dil Ki Ghiza Kar Diya Gaya in PDF.