Ranai-e-kaunain Se Be-zar Hamin The
ranai-e-kaunain se be-zar hamin the
hum the tere jalwon ke talabgar hamin the
hai farq talabgar o parastar mein ai dost
duniya thi talabgar parastar hamin the
is banda-nawazi ke tasadduq sar-e-mahshar
goya teri rahmat ke saza-war hamin the
de de ke nigahon ko tasawwur ka sahaara
raaton ko tere waste bedar hamin the
bazar-e-azal yun to bahut garm tha lekin
le de ke mohabbat ke KHaridar hamin the
khaTke hain tere sare gulistan ki nazar mein
sab apni jagah phul the ek KHar hamin the
han aap ko dekha tha mohabbat se hamin ne
ji sare zamane ke gunahgar hamin the
hai aaj wo surat ki banae nahin banti
kal naqsh-e-do-alam ke qalamkar hamin the
pachhtaoge dekho hamein begana samajh kar
manoge kisi waqt ki gham-KHwar hamin the
arbab-e-watan KHush hain hamein dil se bhula kar
jaise nigah o dil pe bas ek bar hamin the
'ehsan' hai be-sud gila un ki jafa ka
chaha tha unhen hum ne KHata-war hamin the
(1301) Peoples Rate This