Parastish-e-gham Ka Shukriya Kya Tujhe Aagahi Nahin

parastish-e-gham ka shukriya kya tujhe aagahi nahin

tere baghair zindagi dard hai zindagi nahin

dekh ke KHushk o zard phul dil hai kuchh is tarah malul

jaise meri KHizan ke baad daur-e-bahaar hi nahin

daur tha ek guzar chuka nasha tha ek utar chuka

ab wo maqam hai jahan shikwa-e-be-ruKHi nahin

ishrat-e-KHuld ke liye zahid-e-kaj-nazar jhuke

mashrab-e-ishq mein to ye jurm hai bandagi nahin

tere siwa karun pasand kya teri kaenat mein

donon jahan ki nematen qimat-e-bandagi nahin

lakh zamana zulm Dhae waqt na wo KHuda dikhae

jab mujhe ho yaqin ki tu hasil-e-zindagi nahin

dil ki shaguftagi ke sath rahat-e-mai-kada gai

fursat-e-mai-kashi to hai hasrat-e-mai-kashi nahin

ashk-e-rawan ki aab-o-tab kar na awam mein KHarab

azmat-e-ishq ko samajh girya-e-gham hansi nahin

arsa-e-furqat-o-firaq aisa tawil to na tha

bhul rahe ho tum mujhe main koi ajnabi nahin

zaKHm pe zaKHm kha ke ji apne lahu ke ghunT pi

aah na kar labon ko si ishq hai dil-lagi nahin

ek wo raat thi ki jab tha mere ghar wo mahtab

ek ye raat hai ki ab chand hai chandni nahin

muzhda ki na-murad-e-ishq teri ghazal ka hai wo rang

wo bhi pukar uThe ki ye sehr hai shairi nahin

(2393) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Parastish-e-gham Ka Shukriya Kya Tujhe Aagahi Nahin In English By Famous Poet Ehsan Danish. Parastish-e-gham Ka Shukriya Kya Tujhe Aagahi Nahin is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Parastish-e-gham Ka Shukriya Kya Tujhe Aagahi Nahin for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Parastish-e-gham Ka Shukriya Kya Tujhe Aagahi Nahin in PDF.