Na Siyo HonT Na KHwabon Mein Sada Do Hum Ko
na siyo honT na KHwabon mein sada do hum ko
maslahat ka ye taqaza hai bhula do hum ko
jurm-e-suqraat se haT kar na saza do hum ko
zahr rakkha hai to ye aab-e-baqa do hum ko
bastiyan aag mein bah jaen ki patthar barsen
hum agar soe hue hain to jaga do hum ko
hum haqiqat hain to taslim na karne ka sabab
han agar harf-e-ghalat hain to miTa do hum ko
KHizr mashhur ho ilyas bane phirte ho
kab se hum gum hain hamara to pata do hum ko
zist hai is sahar-o-sham se bezar o zubun
lala-o-gul ki tarah rang-e-qaba do hum ko
shorish-e-ishq mein hai husn barabar ka sharik
soch kar jurm-e-tamanna ki saza do hum ko
jurat-e-lams bhi imkan-e-talab mein hai magar
ye na ho aur gunahgar bana do hum ko
kyun na us shab se nae daur ka aaghaz karen
bazm-e-KHuban se koi naghma suna do hum ko
maqsad-e-zist gham-e-ishq hai sahra ho ki shahr
baiTh jaenge jahan chaho biTha do hum ko
hum chaTanen hain koi ret ke sahil to nahi
shauq se shahr-panahon mein laga do hum ko
bhiD bazar-e-samaat mein hai naghmon ki bahut
jis se tum samne ubhro wo sada do hum ko
kaun deta hai mohabbat ko parastish ka maqam
tum ye insaf se socho to dua do hum ko
aaj mahaul ko aaraish-e-jaan se hai gurez
koi 'danish' ki ghazal la ke suna do hum ko
(1112) Peoples Rate This