Mere MiTane Ki Tadbir Thi Hijab Na Tha
mere miTane ki tadbir thi hijab na tha
wagarna kaun se din husn be-naqab na tha
agarche nazkash-e-esaghar-e-sharab na tha
KHumar-KHane mein mujh sa koi KHarab na tha
khula tilism-e-tamanna to khul gaya ye bhi
ki ek fareb-e-nazar tha tera shabab na tha
KHayal-e-dost teri jalwa-tabiyon ki qasam
jo tu na tha meri duniya mein aaftab na tha
tere firaq ki raaten thin is qadar maghmum
ki dagh-e-KHatir-e-mahzun tha mahtab na tha
bura ho nala-e-paiham ka kuchh dinon pahle
KHamosh raat ke dil mein ye pech-o-tab na tha
nigah milte hi ghash kha ke gir paDin nazren
thi ek barq-e-mushakkal tera shabab na tha
azal ke din se hain hum mast-e-jalwa-e-saqi
hamare samne kis roz aaftab na tha
kuchh apne saz-e-nafas ki na qadr ki tu ne
ki is rabab se behtar koi rabab na tha
dil-e-KHarab ka 'ehsan' ab KHuda-hafiz
KHarab tha magar aisa kabhi KHarab na tha
(1119) Peoples Rate This