Jine Ke Liye Jo Mar Rahe Hain
jine ke liye jo mar rahe hain
aaghaz-e-hayat kar rahe hain
hai husn ka nam muft badnam
log apni talab mein mar rahe hain
ghunchon ki tarah khile the kuchh log
kirnon ki tarah bikhar rahe hain
hai naqsh-e-qadam pe naqsh-e-zanjir
diwane jidhar guzar rahe hain
sunta hun ki aap ke wafadar
anjam-e-wafa se Dar rahe hain
sahil ko bhi chhoDte nahin log
kashti pe bhi panw dhar rahe hain
ab dasht mein narm-rau hawa se
kuchh naqsh-e-qadam nikhar rahe hain
ruhon mein nai sahar ke bais
zehnon ke nashe utar rahe hain
hum jaise tamam nam-lewa
dhabba tere nam par rahe hain
KHushbu se ladi bahaar mein bhi
hum dard se bahra-war rahe hain
har daur ke fan-shanas 'danish'
nakaam-e-husul-e-zar rahe hain
(871) Peoples Rate This