Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2ad1d272178f21037e604259d4ccfb89, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Bhi KHalwat Mein Wo Yaad Aaega - Ehsan Danish Poetry In English - Darsaal

Jab Bhi KHalwat Mein Wo Yaad Aaega

jab bhi KHalwat mein wo yaad aaega

waqt ka sail Thahar jaega

chand tum dekh rahe ho jis ko

ye bhi aansu sa Dhalak jaega

ek do moD hi muD kar insan

baam-e-gardun ki KHabar laega

main ne dekhe hain chaman be-parda

koi gul kya mere munh aaega

husn se dur hi rahna behtar

jo milega wahi pachhtaega

aur kuchh der sitaro Thahro

us ka wada hai zarur aaega

un ki zulfon ki mahak le 'danish'

is dhundalke ko kahan paega

(921) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Bhi KHalwat Mein Wo Yaad Aaega In English By Famous Poet Ehsan Danish. Jab Bhi KHalwat Mein Wo Yaad Aaega is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Jab Bhi KHalwat Mein Wo Yaad Aaega for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Jab Bhi KHalwat Mein Wo Yaad Aaega in PDF.