Dil Ki Raghbat Hai Jab Aap Hi Ki Taraf

dil ki raghbat hai jab aap hi ki taraf

kis liye aankh uThti kisi ki taraf

kaisi uljhan he bazi-gah-e-shauq mein

hum hain in ki taraf wo kisi ki taraf

sirf ashk-o-tabassum mein uljhe rahe

hum ne dekha nahin zindagi ki taraf

hum jo ghol-e-bayaban se waqif nahin

chal diye dur ki raushni ki taraf

dair-o-kaba se pyasi jabinen liye

aa gae hum teri bandagi ki taraf

raat Dhalte jab un ka KHayal aa gaya

TukTuki bandh gai chandni ki taraf

jab na qasd-e-KHudi ke dariche khule

ahl-e-dil ho liye be-KHudi ki taraf

hum ne dil ki lagi un se ki thi bayan

baat wo le gae dil-lagi ki taraf

jada-e-agahi par baDi bhiD thi

saikDon muD gae gumrahi ki taraf

hain mere halqa-e-ilm mein bil-yaqin

aasman ke payam aadmi ki taraf

un ke jalwon ki jaanib nazar uTh gai

mauj thi baDh gai chandni ki taraf

kaun sa jurm hai kya sitam ho gaya

aankh agar uTh gai aap hi ki taraf

jaane wo multafit hun kidhar bazm mein

aansuon ki taraf ya hansi ki taraf

us ke pindar-e-KHud-agahi par na ja

dekh insan ki bechaargi ki taraf

apne mahaul mein kyun andhera karen

der tak dekh kar raushni ki taraf

maut ki rah aasan ho jaegi

pyar se dekhiye zindagi ki taraf

hum junun-mand bhi itne waqif to hain

aql ka ruKH hai waraftagi ki taraf

shairi ki kisi manzil-e-dard mein

ek daricha hai paighambari ki taraf

jaane aankhon ne aankhon se kya kuchh kaha

zindagi jhuk gai zindagi ki taraf

'danish' inkar KHaliq se hota nahin

dekhta hun main jab aadmi ki taraf

(1502) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ki Raghbat Hai Jab Aap Hi Ki Taraf In English By Famous Poet Ehsan Danish. Dil Ki Raghbat Hai Jab Aap Hi Ki Taraf is written by Ehsan Danish. Read famous Poem Dil Ki Raghbat Hai Jab Aap Hi Ki Taraf for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download Dil Ki Raghbat Hai Jab Aap Hi Ki Taraf in PDF.