BaKHsh Di Haal-e-zabun Ne Jalwa-samani Mujhe

baKHsh di haal-e-zabun ne jalwa-samani mujhe

kash mil jae zamane ki pareshani mujhe

ai nigah-e-dost ai sarmaya-dar-e-be-KHudi

hosh aata hai to hoti hai pareshani mujhe

khul chuka han khul chuka dil par tera rangin fareb

de na dhoka ai tilism-e-hasti-e-fani mujhe

phir na sabit ho kahin nang-e-bayaban jism-e-raaz

soch kar karna junun mail ye uryani mujhe

muntaha-e-zauq-e-sajda ye ki ek fareb

kufr tak le aai takmil-e-musalmani mujhe

manzilon 'ehsan' pichhe rah gae dair o haram

le chala jaane kahan sailab-e-hairani mujhe

(1001) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

BaKHsh Di Haal-e-zabun Ne Jalwa-samani Mujhe In English By Famous Poet Ehsan Danish. BaKHsh Di Haal-e-zabun Ne Jalwa-samani Mujhe is written by Ehsan Danish. Read famous Poem BaKHsh Di Haal-e-zabun Ne Jalwa-samani Mujhe for youth and Student by Ehsan Danish. Free Download BaKHsh Di Haal-e-zabun Ne Jalwa-samani Mujhe in PDF.