Ummid Par Hamari Ye Duniya Khari Nahin
ummid par hamari ye duniya khari nahin
phir bhi to us ko pane ki KHwahish meri nahin
be-wajh gul-ruKHon se meri be-ruKHi kahan
mere junun-e-shauq ke qabil pari nahin
taskin mile bhi dida-e-hairan ko kis tarah
shishagari nahin kahin jalwagari nahin
bad-rang si bahaar hai fasl-e-bahaar mein
bashshash dil nahin hai tabiat hari nahin
lagta hai aaj shahr ke haalat Thik hain
masjid wagarna kal ki tarah kyun bhari nahin
haalanki mere jurm pe parde paDe rahe
dil ki malamaton se magar main bari nahin
dharti pe dikh rahe hain gunahon ke ab asar
'azam' kahin to KHushki kahin par tari nahin
(1007) Peoples Rate This