KHuda Bhi Jaanta Hai KHub Jo Makkar BaiThe Hain
KHuda bhi jaanta hai KHub jo makkar baiThe hain
haram mein sar-nigun kuchh qabil-e-finnar baiThe hain
gharon mein sath baiThe hain sar-e-bazar baiThe hain
naqab apnon ka oDhe aaj-kal aghyar baiThe hain
mohabbat ki nazar mein jit li hai hum ne wo bazi
zamane ki nazar mein hum ki jis ko haar baiThe hain
KHata ho jae hum se jo koi to darguzar karna
tumhaari bazm mein hum aaj pahli bar baiThe hain
zamin se ya falak se ya ki apnon se ki ghairon se
bataen kis tarah kis kis se hum bezar baiThe hain
yahi jamhuriyat ka naqs hai jo taKHt-e-shahi par
kabhi makkar baiThe hain kabhi ghaddar baiThe hain
adab ki mahfilon mein ab kahan jamm-e-ghafir 'azam'
yahan do-chaar baiThe hain wahan do-chaar baiThe hain
(2319) Peoples Rate This