Har ShaKHs Mein Kuchh Log Kami DhunD Rahe Hain
har shaKHs mein kuchh log kami DhunD rahe hain
nadan hain musbat mein nafi DhunD rahe hain
gul DhunD rahe hain na kali DhunD rahe hain
gulshan mein bas ek shaKH hari DhunD rahe hain
is yug mein kahan hum bhi wali DhunD rahe hain
insan mein sifat-e-bashari DhunD rahe hain
baadal ki siyahi mein kiran jaisi chamakti
har gham mein chhipi hum bhi KHushi DhunD rahe hain
ek sher jo mauzun nahin kar pae hain ab tak
'ghaalib' ki ghazal mein bhi kami DhunD rahe hain
muddat se taqaza hai ki lauTa do mera dil
muddat se bahana hai abhi DhunD rahe hain
tahzib-o-tamaddun ko KHulus aur wafa ko
'azam' hi nahin aaj sabhi DhunD rahe hain
(1434) Peoples Rate This