Buland Fikr Ki Har Sher Se Ayan Ho Ramaq
buland fikr ki har sher se ayan ho ramaq
mere qalam se ada ho kabhi ghazal ka haq
udas udas hain insan har ek chehra faq
ye shahr shahr hai ya dasht hai ye laq-o-daq
main dil ki baat kahun yun ki dil talak pahunche
na hon kinae hi mubham na istiare adaq
chalo sameT ke office ko apne ghar ki taraf
ufuq ke par wo dekho utar rahi hai shafaq
zara sa ilm-o-hunar pa gae to kuchh kam-zarf
samajh rahe hain sabhi ko hi ahqar-o-ahmaq
phir ehtijaj ke raste pe kyun chalenge hum
hamein jo milta rahe aap se hamara haq
talluqat mein qaem rakhen bharose ko
ki shak hamesha hi karta raha hai rishte shaq
kisi kitab mein milta nahin hai zikr 'azam'
hamein sikhae hain is zindagi ne aise sabaq
(875) Peoples Rate This