Ashk Par Zor Kuchh Chala Hi Nahin
ashk par zor kuchh chala hi nahin
main ne roka bahut ruka hi nahin
aatish zer-e-pa sabab warna
KHak sahra ki chhanta hi nahin
ya to sab ka KHuda hi sachcha hai
ya to sachcha koi KHuda hi nahin
zehn kahta hai sar jhuka le tu
dil magar hai ki manta hi nahin
baal-o-par hon qawi to kya hasil
jab uDanon ka hausla hi nahin
hae main ne pas-e-ghalat-fahmi
wo suna main ne jo kaha hi nahin
maut ka Dar ise dikhaen kya
zinda rahna jo chahta hi nahin
sirf ehsas-e-kamtari hai tujhe
aur tu hai ki manta hi nahin
main hi main bazm mein raha maujud
aur main bazm mein gaya hi nahin
meri ghibat mein wo bhi hain shamil
aaj tak jin se main mila hi nahin
jo ki pahchan ho meri 'azam'
sher aisa koi hua hi nahin
(1153) Peoples Rate This