Gham Hamara Gulab Ho Jae
gham hamara gulab ho jae
zindagi la-jawab ho jae
yaad ne harf harf ghera hai
gar likhun to kitab ho jae
dushmanon ki taraf bhi jaenge
doston se hisab ho jae
imtihan le na be-qarari ka
mere KHat ka jawab ho jae
aap nahaq KHuda se Darte hain
shaiKH sahab sharab ho jae
tere kuche mein aa ke lagta hai
jaise muflis nawab ho jae
KHud-parasti ana hi kafi hai
ruKH zara be-naqab ho jae
main ne dekha ki tu hai pahlu mein
ab mujassam ye KHwab ho jae
(938) Peoples Rate This