Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_a56248b87b03dc2a87ad22797d07d468, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Mere Kamre Mein Puri Chandni Hai - Dinesh Naaidu Poetry In English - Darsaal

Mere Kamre Mein Puri Chandni Hai

mere kamre mein puri chandni hai

faqat teri kami baqi rahi hai

main sahra mein tasalli se rahunga

musalsal tishnagi hi tishnagi hai

KHamoshi oDh kar baiThe hain sab peD

ye barish aaj kitni KHushk si hai

hawa aai hai kis duniya se ho kar

har ek Tahni shajar ki kanpti hai

abhi to sardiyon ka daur hoga

faza rona tha jitna ro chuki hai

main har dipak bujhata ja raha hun

meri duniya mein itni raushni hai

daricha ab nahin khulta tumhaara

nazar lekin kisi ki manti hai

wo jo hassas laDka mar gaya tha

ab us ka shauq kewal shairi hai

kabhi Thahra nahin phulon ka mausam

dilon ka TuT jaana qudrati hai

(923) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Kamre Mein Puri Chandni Hai In English By Famous Poet Dinesh Naaidu. Mere Kamre Mein Puri Chandni Hai is written by Dinesh Naaidu. Read famous Poem Mere Kamre Mein Puri Chandni Hai for youth and Student by Dinesh Naaidu. Free Download Mere Kamre Mein Puri Chandni Hai in PDF.