Mera Ye Malba Mera KHaraba Tumhaari Yaadon Se LaD Raha Hai
mera ye malba mera KHaraba tumhaari yaadon se laD raha hai
usi ki tamir ho rahi hai wo ek ghar jo nahin bacha hai
paDe hue hain jali-bujhi cigareton ke TukDe har ek jagah par
aur ek chehra shagufta chehra tamam ghar mein basa hua hai
laga rahi hai mujhe sada-e-hawa dariche se laDte laDte
mera ye kamra KHamosh kamra kisi ki aahaT se bhar gaya hai
kahin se saye bhi aa gae hain mujhe sunane kahani apni
koi fasana bhi dhire dhire buland manzar se ho raha hai
bula rahin hain mujhe dobara udasiyon ki hasin wadi
kisi ki yaadon ka sabz-mausam abhi bhi taza bana hua hai
jo rang-roghan bikhar rahe hain tamam ghar mein ata hai us ki
bas ek aamad se us ki viran khanDar sa ye ghar bhi ji uTha hai
(762) Peoples Rate This