Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e2ace2d88d26d6b3f4938d1ce7985ef6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dara Rahe Hain Ye Manzar Bhi Ab To Ghar Ke Mujhe - Dinesh Naaidu Poetry In English - Darsaal

Dara Rahe Hain Ye Manzar Bhi Ab To Ghar Ke Mujhe

Dara rahe hain ye manzar bhi ab to ghar ke mujhe

dikhai KHwab diye raat bhar khanDar ke mujhe

har ek ghazal mein main rozana chand Tankta hun

sitare chumte hain shab utar utar ke mujhe

ganwa di umr use nazm kar nahin paya

saliqe aate hain waise to har hunar ke mujhe

is ek shauq ne mujh ko miTa diya yaro

bas ek bar kabhi dekhna tha mar ke mujhe

kinare baiTh ke karta hun nazm ashkon ko

nadi sunati hai afsane chashm-e-tar ke mujhe

main ek adhuri si taswir tha udasi ki

kiya hai us ne mukammal tabah kar ke mujhe

(823) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dara Rahe Hain Ye Manzar Bhi Ab To Ghar Ke Mujhe In English By Famous Poet Dinesh Naaidu. Dara Rahe Hain Ye Manzar Bhi Ab To Ghar Ke Mujhe is written by Dinesh Naaidu. Read famous Poem Dara Rahe Hain Ye Manzar Bhi Ab To Ghar Ke Mujhe for youth and Student by Dinesh Naaidu. Free Download Dara Rahe Hain Ye Manzar Bhi Ab To Ghar Ke Mujhe in PDF.