Yagana Kya!
'ghaalib'-shikan hazar hain sirf ek 'yagana' kya
us ka magar bigaD saka hai zamana kya
jo non-metric the wo afsar bane yahan
ab jo Phd hain wo bechen kirana kya
mujh se ye puchhti hai mere dil ki malikan
tum par mere huquq nahin malikana kya
mera kalam san ke ek ustad ne kaha
beTe ghazal ye tu ne kahi walidana kya!
ba-zauq samain to ghar ja ke sau chuke
meri ghazal sunega faqat shamiyana kiya!
apiya jo ab ke qaumi election mein hain khaDi
mardon ki rahnumai karega zamana kya!
kahte hain aab-o-dana mujhe laya hai yahan
yan aab bhi nahin hai karachi mein dana kya!
KHat mein mushaere ke jahan aur baaten hain
ye kyun nahin likha hai mera mehnatana kya!
(1714) Peoples Rate This