Tamasha Mere Aage
main shahr-e-karachi se kahan bahr-e-safar jaun
ji chahta hai ab main isi shahr mein mar jaun
is shahr-e-nigaran ko jo chhoDun to kidhar jaun
sahra mere pichhe hai to dariya mere aage
is shahr mein kuchh husn ka mear nahin hai
beauty ki zarurat sar-e-bazar nahin hai
yusuf ka yahan koi KHaridar nahin hai
show-case mein baiThi hai zuleKHa mere aage
is bagh mein kuchh qadr nahin naghmagari ki
ulTi hai yahan chaal nasim-e-sahari ki
had ho gai kaj-fahmi o aashufta-sari ki
bulbul ko bura kahta hai kawwa mere aage
rishwat bhi yahan ek maraz hai mutaddi
apna to yahi pesha hai aabai-o-jaddi
la bechunga mansuKH-shuda noTon ki raddi
jo main ne kiya tha wahi aaya mere aage
ek chiz hai is shahr-e-karachi ka gadha bhi
hushiyar bhi ahmaq bhi purana bhi naya bhi
kam-baKHt ko aati nahin tahzib zara bhi
karta hai sar-e-bazm wo ghamza mere aage
hotel mein yahan jao to aawaz yahi aae
is bhai ka do aana udhar ek kaDak chae
is seTh ka ek gurda chacha-jaan ke do pae
murghi ka jo order hai use chulhe mein Dalo
is seTh ka bheja zara jaldi se nikalo
ek miT fry karo ek anDa ubaalo
ye seTh jo baiTha hai ise qima banao
sahib ki siri ThanDi hai kuchh aanch dikhao
chae mein shakar maro ise lamba pakao
mere ne jo bola hai wahi mere ko lao
urdu mein ye farmata hai baira mere aage
hota hai shab-o-roz tamasha mere aage
(2054) Peoples Rate This