Rishwat-KHor Sarkari Mulazmin
aise gallop sarwey ko hum kah nahin sakte darogh
jo ye kahta hai ki ab rishwat ko hasil hai farogh
hum bhi kahte hain ki sach hai aaj ye sarwey zarur
ek chauthai mulazim hain yahan rishwat se dur
ek chauthai mein bhi wo log hain das fisadi
jo corruption ko usulan bhi samajhte hain badi
wo usulon ke sabab se baat kahte hain khari
ismat-e-bi-bi nahin hai un ko az be-chadari
baqi aise log bhi rahmat hain apne daur par
jo corruption ke liye unfit hain tibbi taur par
wo salahiyat jo hai shart ek rishwat-KHor mein
us ki hai behad kami un ke dil-e-kamzor mein
so mein das aise bhi sarkari mulazim hain gharib
jis idare mein wo naukar hain wo KHud hai bad-nasib
pay to pabandi se milti hai magar ill-paid hain
post-office mein hain afsar dakiyon ke head hain
ye money-order hain ye bime KHutut aur parcel
sirf ek tanKHwah puri Dak ka nemul-badal
railway mein jo mulazim hain wo hain chalte hue
dekhte hain KHud bhi apna aashiyan jalte hue
sabz signal hota hai ya surKH batti jalti hai
rail ke ham-rah rishwat ki bhi gaDi chalti hai
mahkme wo bhi to hain jo toD dete hain makan
un ko rishwat KHub milti hai ye hai qudrat ki shan
mahkme wo bhi hain jo hain pasban qanun ke
paki-e-daman mein dhabbe dekhte hain KHun ke
mujrmon se milte-julte nam hain un ko pasand
thi KHata ambar ki lekin kar diya qambar ko band
mahkama wo bhi hai jis ke roab se Darta hai shahr
us ki rag rag mein sarayat kar gaya rishwat ka zahr
ek mulazim wo bhi hai tadris jis ka farz hai
jitni pay hai us ki kuchh us se ziyaada qarz hai
excise aur custam se sabhi ko pyar hai
is jagah KHadim free serwice ko bhi tayyar hai
yun bhi ek daftar ne mujh pe KHauf tari kar diya
bil raqibon ka tha mere nam jari kar diya
ab wahan chaliye jahan wagon khaDe hain mal ke
KHub rishwat chal rahi hai marifat dallal ke
metrology ko rishwat bhi nahin deta koi
log barham hain ki be-notice ke barish kyun hui
kaisa daftar hai jo future ko bana deta hai past
abr kal barsa tha lekin aaj ki hai forecast
aur idaron se nahin milta jo daftar met ka
is liye darban bhi ghaeb hai us ke gate ka
metrology ka afsar bhi baDi mushkil mein hai
wo yahan mausam nahin hai jo wahan file mein hai
met-office na-balad hai chunki kuchh ausaf se
log rishwat mangte hain met ke staff se
(2994) Peoples Rate This