Mausiqi Se Ilaj
ek muhaqqiq ne nai tahqiq farma di hai aaj
fann-e-mausiqi se bhi mumkin hai insani ilaj
sach hai ye dawa to ruKHsat ai atibba-e-kiram
mustagi ko bandagi qurs-e-mullayan ko salam
ab mudawa-e-maraz hoga nae andaz se
ab huwashshafi ki aawaz aaegi har saz se
ab to nauTangi hi mein hoga ilaj-e-samain
al-firaq ai gul-banafsha alwida ai nisaplin
namwar qawwal pure doctor ho jaenge
sirf sazinde jo hain compaundar ho jaenge
un dawa-KHanon pe aise board aaenge nazar
mutrib-e-atish-nawa miss-naz lady doctor
tharmameter ki jagah munh mein laga kar bansuri
doctor dekhega kya haalat hai ab bimar ki
maut bhi us shaKHs tak aate hue ghabraegi
jis ke sar par naza mein Dafli bajai jaegi
chunki nusKHon mein riayat hogi sirf ashaar ki
sirf shaer ko jagah di jaegi attar ki
paD gae majun mein kiDe KHamira saD gaya
bu-ali-sina ki ummidon pe pani paD gaya
hazrat-e-'ajmal' ke jadu ka asar zail hua
aadmi 'fayyaz'-KHan ke art ka qail hua
is ko kahte hain KHuda ki den ye hoti hai den
ab ciwil-surgeon banega jaanashin-e-tan-sen
ab atibba bhi nazar aaenge shahnai-ba-dast
sharbat-e-unnab ki botal ko paigham-e-shikast
un se kah do mubtala hain jo kisi aazar mein
ab shifa-KHane khulenge husn ke bazar mein
qabz ke mare hue bimar ko kar do KHabar
ek Thumri mein hai itrifal zamani ka asar
ab to aKHbaron mein shae honge aise ishtihaar
jumla amraaz-e-KHususi ki dawa tabla sitar
jumla amraaz-e-KHabisa ki dawa-e-kargar
naghma-e-sahir ba-awaz-e-lata-mangeshkar
zoaf-e-meada hai to miss-kajjan ki qawwali suno
KHushk khansi hai to nazm-e-hazrat-e-'haali' suno
kya zaruri hai ki pechish ki dawa ho aspaghol
adwiya to aur bhi hain bin baja band Dhol
iKHtilaj-e-qalb ki wahid dawa hai aaj kal
'bekal-utsahi' se suniye ai meri jaan-e-ghazal
is tarah nusKHa likhega chaara-saz-e-nabz-bin
dadra das bara Thumri do adad ek bhairwin
subh-dam misl-e-shakila mashq-e-qawwali kunand
KHak-e-pa-e-mushtari-bai ba-waqt-e-shab KHurand
(1919) Peoples Rate This