Mardum-gazida Insan Ka Ilaj
bahut dinon mein koi kaam ki KHabar aai
kahin to shahr mein insaniyat nazar aai
baDa wasia KHala is KHabar ne paTa hai
ki aadmi ne kisi aadmi ko kaTa hai
gae wo din ki jab insan sag-gazida tha
lahu lahu tha badan pairahan darida tha
hamare daur mein zalim sitam-rasida hai
ki aadmi hi yahan aadmi-gazida hai
ajib daur hai kutta to rahm khata hai
aur aadmi se jo bolo to kaTe khata hai
gazidgi jo ab insan ki sifat mein hai
ye kaT-kuT har ek shoba-e-hayat mein hai
na koi dost na hamdam na aashna na habib
usi se KHauf ziyaada jo hai ziyaada qarib
safar mein log chalenge jo sath kaTenge
musafaha ho to hathon ko hath kaTenge
safar mein jeb-e-musafir ko kaTa jaega
mushaere ho to shaer ko kaTa jaega
na khul ke hath chalenge na fighting hoga
milenge log jahan back-biting hoga
na actor na musawwir na writer nikla
jise bhi dost kaha back-biter nikla
chali hai rasm ki ek dusre ki kaT karo
badi ke nam dilon ke makan allot karo
jalega aisi hi KHabron se ab nazar ka diya
ki aadmi ne kisi aadmi ko kaT liya
purane Tikon ka ab kya asar ho aanton mein
khula ki zahr hai ab aadmi ke danton mein
jo zaKHm sag se mila tha wo surgery se sila
wo zaKHm kaise bharega jo aadmi se mila?
abhi to kuchh bhi nahin apni had mein hai har baat
abhi KHarab nahin hain samaj ke haalat
abhi to aadmi bhonka hai ibn-e-adam par
abhi azab koi aur aaega hum par
junun ye aur baDhega to rang laega
ye aadmi kabhi kutte ko kaT khaega
(1531) Peoples Rate This