Lag Gae Hain Phone Lagne Mein Jo Pachchis Sal
lag gae hain phone lagne mein jo pachchis sal
is KHabar se kyun hua paida dilon mein ishtial
aadmi allah ka shakir rahe har haal mein
baz paudon par samar aata hai sau sau sal mein
shukr ki ja hai hui shaKH-e-tamanna bar-awar
der se aaya magar aaya to Dali par samar
mohtasib aala ki koshish qabil-e-tahsin hai
phone ka lagna kamal-e-adl hai aain hai
is ka gham kya kyun lage is kaam mein pachchis sal
in dafatir mein nahin hai ye koi pahli misal
lag gaya is kaam mein Time to kyun hai barhami?
shukr ada kije ki zinda rah gaya ye aadmi
mahkama T-&-T ka is ko Tahlata raha
phir bhi ye insan apne dil ko bahlata raha
hausla mein waqai wo shaKHs rakhta hai kamal
mubtala jo aazmaish mein raha pachchis sal
aaKHir ek din KHatm ye lambi kahani ho gai
mohtasib aala ki is par mehrbani ho gai
shaKHs-e-mazkura na badla aur is dauran mein
jaane kitne daur badle apne pakistan mein
jaane kitni bar badla rang-e-dau-e-iqtadar
ho gain tabdil sarkaren yahan kitni hi bar
bistar-e-sarkar kitni bar bandh bandh kar khula
ek ne bistar lapeTa ek ka bistar khula
surKHiyan badlin musalsal shauq ke mazmun ki
rah gai qaem magar darKHwast telephone ki
itne sal is mulk mein kab ek sa Time raha
lal fita phir bhi apni waza par qaem raha
dad do T-&-T walon ki rah-e-rast ko
itne arse dabe rakha sirf ek darKHwast ko
ye saliqa sirf T-&-T ko hai maula ki den
ek file ko kiya itne baras tak maintain
KHairiyat guzri kahin ghaeb na file ho gai
aur kisi afsar ki binai na zail ho gai
dad do us ko bhi jo is waqt tak zinda raha
jis ko har din intizar-e-subh-e-ainda raha
naujawani mein jo ek darKHwast di thi phone ki
ab hui manzur jab kam hai hararat KHun ki
shukr ada kije hui to KHatm sham-e-intizar
is ka kya shikwa ki buDha ho gaya ummid-war
lag gaya phone aa gai saat mubarakbaad ki
bap ki arzi se qismat khul gai aulad ki
sare ghar wale piyenge ghar mein jab jam aaega
phone walid ka sahi aulad ke kaam aaega
(1605) Peoples Rate This