Karachi Ki Bus
bus mein laTak raha tha koi haar ki tarah
koi paDa tha saya-e-diwar ki tarah
sahma hua tha koi gunahgar ki tarah
koi phansa tha murgh-e-giraftar ki tarah
mahrum ho gaya tha koi ek panw se
juta badal gaya tha kisi ka khaDaun se
koi pukarta tha meri jeb kaT gai
kahta tha koi meri nai painT phaT gai
bus mein tamam pardon ki diwar haT gai
rish-e-safed zulf-e-siyah se lipaT gai
ek achchha-KHasa mard zanane mein ghus paDa
goya ki ek chor KHazane mein ghus paDa
ladies ki safon mein jo chehre the kuchh hasin
un par nazar jamae hue the miyan-matin
shamil musafiron mein the har fan ke maherin
kuchh un mein nazirin the baqi tamash-been
zauq-e-nazar ki shart thi manzar bura na tha
das paise ke ticket mein ye picture bura na tha
gaDi mein ek shor tha conductor aage chal
kah de KHuda ke waste han Thik hai double
kab tak khaDa rahega sar-e-jada-e-amal
laDne ki aarzu hai to bahar zara nikal
tujh par KHuda ki mar ho start kar de bus
do paise aur le le jo daulat ki hai hawas
conductor ab ye kahta tha wo bus chalae kyun
jo bus mein aa gaya hai kare hae hae kyun
jis ko ho jaan aziz meri bus mein aae kyun
aaise hi gul-badan the to paise bachae kyun
Thani hai dil mein ab na dabenge kisi se hum
tang aa gae hain roz ki conductori se hum
kahta tha wo kisi se bhi kam-tar nahin hun main
yani kisi ke bap ka naukar nahin hun main
public se kyun Darun koi leader nahin hun main
kyun regular chalun mah o aKHtar nahin hun main
bus mein khaDe raho jo mere KHair-KHwah ho
dekho mujhe jo dur se ibrat-nigah ho
ye bus jo waqai thi kai sal se alil
mushkil se ek ghanTe mein chalti thi chaar mil
malik ne bhi ye soch ke de di thi is ko Dhil
ab is ki zindagi ke hain lamhe bahut qalil
ab to kisi clerk se aachanak ye ja mile
kuchh bima company se hamein bhi sila mile
mumkin na tha ki bus se hamara mile mizaj
jamhuriyat hai hum ko pasand aur ise niraj
mushkil to ye hai bus ka muawin hai kul samaj
aaise mein kya buland ho aawaz-e-ehtijaj
ghabra ke hum to art ki duniya mein kho gae
jab tak maler aaya kai sher ho gae
(3199) Peoples Rate This