Kaha Laila Ki Man Ne
kaha majnun se ye laila ki man ne
ki beTe kyun paDa hai shahr se dur
karachi ko bana le ghar yahan tu
kisi bhi mil mein ho jaega mazdur
wo istifa jo tu ne de diya tha
abhi tak ho nahin paya hai manzur
nahin talim ki bhi shart koi
ki ab badle hue hain sare dastur
bas itni aarzu hai aaj meri
siyasat mein tera hissa ho bharpur
siyasi rahnuma the ab se pahle
tere bap aur chacha marhum o maghfur
saDak par aa ke ye nara laga de
nahin hai aamariyyat mujh ko manzur
agar tu man le ye mang meri
to tujh se aqd-e-laila mujh ko manzur
abhi mumkin hai us se teri shadi
abhi kunwari hai laila hasb-e-dastur
kaha majnun ne ai laila ki amman
mujhe kyun wasl par karti hai majbur
siyasat mein phansati hai mujhe kyun
mujhe rahne hi de is gand se dur
siyasat se junun ka kya talluq
kuja majnun kuja aain o dastur!
mujhe hairat hai tu kyun chahti hai
siyasat mein mera hissa ho bharpur
rahi shadi to ab is se natija
na bhar paega is marham se nasur
agar das lakh ka tu check de de
to jabran wasl-e-laila mujh ko manzur
nahin karte hain be-rishwat liye kaam
yahi hai majnuon ka aaj dastur
(1622) Peoples Rate This