Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5ab0faf2c9493c2f7f229409198a312f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ishq Ka Parcha - Dilawar Figar Poetry In English - Darsaal

Ishq Ka Parcha

mahw-e-hairat hun ki wo centre tha kitna ba-kamal

ishq ke bare mein puchha jis ne parche mein sawal

aaise hi centre agar do chaar paida ho gae

dekhna is mulk mein fankar paida ho gae

aam hogi aashiqi college ke arz-o-tul mein

laila o majnun nazar aaenge ab school mein

ishq ke aadab laDkon ko sikhae jaenge

ghair-ashiq jo hain wo aashiq banae jaenge

aashiqon ko ilm mein perfect samjha jaega

ishq ek compulsory subject samjha jaega

imtihan hoga to puchhe jaenge aaise sawal

apni mahbuba ke bare mein kuchh izhaar-e-KHayal

ishq ek science hai ya art samjha kar likho

ya ye donon ishq ka hain part samjha kar likho

aaj apne mulk mein aashiq hain kitne fisadi

muntahi in mein hain kitne aur kitne mubtadi

kya talluq tibb-e-yunani ko hai ruman se

compare farhad o majnun ko karo luqman se

ishq kitne qism ka hota hai likho ba-wasuq

fi zamana kya hain aashiq ke faraez aur huquq

ek tahqiqi maqala likh ke samjhao ye baat

shaKH-e-ahu par hi kyun rahti hai aashiq ki baraat

kuchh misalen de ke samjhao ye qaul-e-mustanad

ishq awwal dar-dil-e-mashuq paida mi shawad

sar ko kya nisbat hai sang-e-astan-e-yar se

tum ne sar phoDa kabhi mashuq ki diwar se

kya sakun milta hai dil ko aah-e-shoala-bar se

garm nale arsh par jate hain kis raftar se

apne andaze se tul-e-sham-e-tanhai batao

sirf taKHminan shab-e-hijran ki lambai batao

india ka ek naqsha apni copy par banao

aur phir us mein hudud-e-kucha-e-jaanan dikhao

wasl ki darKHwast par kis ki sifarish chahiye

ishq ke paude ko kitne inch barish chahiye

apni mahbuba ko ek darKHwast english mein likho

us se ye puchho jawab-e-arzu yes hai ki no

kaun se aale se dekhen husn-e-jaanana likho

husn ki miqdar jo nape wo paimana likho

mother-e-laila ne to laila na byahi qais ko

tum agar laila ki man hote to kya karte likho

ek aashiq tin din mein chalta hai unnis mil

tin aashiq kitne din mein jaenge aDtis mil

aap kar sakte hain in mein se koi bara sawal

bad-KHati ke panch number hain rahe ye bhi KHayal

(3730) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ka Parcha In English By Famous Poet Dilawar Figar. Ishq Ka Parcha is written by Dilawar Figar. Read famous Poem Ishq Ka Parcha for youth and Student by Dilawar Figar. Free Download Ishq Ka Parcha in PDF.